Search This Blog

Friday, January 8, 2010

In aankhon mein kya rakha hai?

Moti, kaali, chadar waali,
Geeli, bahki, sagar waali,
In aankhon mein kya rakha hai?

Neend se bojhil thaki hui si,
Khuli hui par jhuki hui si,
In aankhon mein kya rakha hai?

Din mein khoi khoi si,
Chaand ke jaise soi si,
Shaam dhale to chaahat jaisi,
Subah ko roshan rahat jaisi,
In aankhon mein kya rakha hai?

Baat karein to raaz chhupaatin,
Kuchh na kahein to sab kah jaatin,
Raat ko thodi geeli si,
Gol-gol matmaili si,
In aakhon mein kya rakha hai?

Kyon sooni hain ye aankhein ab tak,
Hai kaisa ye intezaar?
Kuchh rootha sa lagta hai inmein,
Hai kaisa ye andhkaar?
Maana ki sapne toot gaye,
Apnon ke saath bhi chhot gaye,
Jo baahein pakdi thin tumne,
Wo simat gaye khud hi khud mein,
Par baahon mein kya rakha hai?
In aankhon mein kya rakha hai?


In aankhon ke kisi kone mein,
Ek dard ki gathri padi hui hai,
Koi laakh inhein samjhaye par,
Zid pe ab bhi adi hui hai,
Maana ki paanw mein chhale hain,
Par kab raah badalne waale hain,
Jab dard ki chaahat ki thi to,
Kyon aah nikal gayi aankhon se,
Par aahon mein kya rakha hai?
In aankhon mein kya rakha hai?

No comments:

Post a Comment