Search This Blog

Sunday, January 10, 2010

Kinaare

kyon zindagi har baar aakar
poochhti hai naam mera,
ek khalbali, kuchh dhoop,
mutthi bhar de jaati hawa,
kyon manchale se khwaab,
pakadkar ungliyaan itraate hain,
kyon muskuraati hai subah,
kyon kasmasati raat hai,
hai jee bahut si zindagi,
is jeene mein kya baat hai?

bikhar jaaoon main jo aawaargi,
parwaaz de de,
main simta tha, chhalak jaaoon,
jo to alfaaz de de,
khilkhilati roshni ko choom loon,
beharm hokar,
fiza mein kahkahe bhar doon,
jo too aawaaz de de,
nadi ki dhaar mein patwaar kaun dhoondhta hai?
jo tooti saans to fir thapthapate hain ye dhaare,
mujhe ab doobne de god mein paani ke saahil,
too khadi is kinaare,
main chala us kinaare.

No comments:

Post a Comment