Search This Blog

Monday, January 18, 2010

Prashna

Rengta hua ehsaas aur
putlon ki duniya
sparsha ka ahankaar
aur ummidon ka spandan
kya yahi hai jeevan?
kya jyoti yahi hai?
ya bhram hai mujhko
main chhala gaya hoon?
tootte paaydaano par
chhalakte paimaano par
wishwaas ki aawaaz se
surkh andaaz se
adhikar ke paash mein
tumhaari talaash mein
artha ki naav mein
dhoop mein, chhaanv mein
sur se taal tak
aadi se kaal tak
pran se praan se
grahan se daan se
karm se dharm se
kalush se narm se
yahi prashna poochhta
chala ja raha hoon main..........

No comments:

Post a Comment